bhaven tantii hain khanjar haath men hai tan ke baithe hain
— Dagh Dehlvi
Bhaven tantee hain khanjar haath men hai tan ke baiThe hain
Kisee se aaj bigDee hai ki wo yuun ban ke baiThe hain
Dilon par saikDon sikke tire joban ke baiThe hain
Kalejon par hazaaron tiir is chitvan ke baiThe hain
Ilaahee kyuun naheen uThtee qayaamat maajraa kya hai
Hamaare saamne pahloo men wo dushman ke baiThe hain
Ye gustaakhee ye chheD achchhee naheen hai ai dil-e-naadaan
Abhee phir rooth jaa.enge abhee to man ke baiThe hain
Asar hai jazb-e-ulfat men to khinch kar aa hee jaa.enge
Hamen parvaa naheen ham se agar wo tan ke baiThe hain
Subuk ho jaa.enge gar jaa.enge wo bazm-e-dushman men
Ki jab tak ghar men baiThe hain wo laakhon man ke baiThe hain
Fusoon hai yaa duaa hai yaa muamma khul naheen saktaa
Wo Kuch paDhte hue aage mire madfan ke baiThe hain
Bahut royaa hoon main jab se ye main ne khvaab dekhaa hai
Ki aap aansoo bahaate saamne dushman ke baiThe hain
KhaDe hon zer-e-toobaa wo na dam lene ko dam bhar bhee
Jo hasrat-mand tere saaya-e-daaman ke baiThe hain
Talaash-e-manzil-e-maqsad kee gardish uTh naheen saktee
Kamar khole hue raste men ham rahzan ke baiThe hain
Ye josh-e-girya to dekho ki jab furqat men royaa hoon
Dar o deevaar ik pal men mire madfan ke baiThe hain
Nigaah-e-shokh o chashm-e-shauq men dar-parda chhantee hai
Ki wo chilman men hain nazdeek ham chilman ke baiThe hain
Ye uThnaa baiThnaa mahfil men un kaa rang laa.egaa
Qayaamat ban ke uTThenge bhabookaa ban ke baiThe hain
Kisee kee shaamat aa.egee kisee kee jaan jaa.egee
Kisee kee taak men wo baam par ban-Than ke baiThe hain
Qasam de kar unhen ye poochh lo tum rang-Dhang us ke
Tumhaaree bazm men Kuch dost bhee dushman ke baiThe hain
Koee chheenTaa paDe to 'daagh' kalkatte chale jaa.en
Azeemaabaad men ham muntazir saavan ke baiThe hain