dil churaa kar nazar churaaii hai
— Dagh Dehlvi
Dil churaa kar nazar churaa.ee hai
LuT ga.e luT ga.e duhaa.ee hai
Ek din mil ke phir nahin milte
Kis qayaamat kee ye judaa.ee hai
Ai asar kar na intizaar-e-duaa
Maangnaa sakht be-hayaa.ee hai
Main yahaan hoon vahaan hai dil meraa
Naa-rasaa.ee ajab rasaa.ee hai
Is tarah ahl-e-naaz naaz karen
Bandagee hai ki ye khuda.ee hai
Paanee pee pee ke tauba kartaa hoon
Paarsaa.ee see paarsaa.ee hai
Va.ada karne kaa ikhtiyaar raha
Baat karne men kya buraa.ee hai
Kab nikaltaa hai ab jigar se tiir
Ye bhee kya teree aashnaa.ee hai
'daagh' un se dimaagh karte hain
Nahin maaloom kya samaa.ee hai