dil e naakaam ke hain kaam kharaab
— Dagh Dehlvi
Dil-e-naakaam ke hain kaam kharaab
Kar liyaa aashiqee men naam kharaab
Is kharaabaat kaa yahee hai maza
Ki rahe aadmee mudaam kharaab
Dekh kar jins-e-dil wo kahte hain
Kyuun kare koee apne daam kharaab
Abr-e-tar se sabaa hee achchhee thee
Meree miTTee huee tamaam kharaab
Wo bhee saaqee mujhe naheen detaa
Wo jo TuuTaa paDaa hai jaam kharaab
Kya milaa ham ko zindagee ke sivaa
Wo bhee dushvaar naa-tamaam kharaab
Vaah kya munh se phuul jhaDte hain
Khoob-roo ho ke ye kalaam kharaab
Chaal kee rahnumaa-e-ishq ne bhee
Wo dikhaayaa jo thaa maqaam kharaab
'daagh' hai bad-chalan to hone do
Sau men hota hai ik ghulaam kharaab