dil gaya tum ne liyaa ham kya karen

Dagh Dehlvi

Dil gaya tum ne liyaa ham kya karen Jaane vaalee chiiz kaa gham kya karen Ham ne mar kar hijr men paa.ee shifaa Aise achchhon kaa wo maatam kya karen Apne hee gham se naheen miltee najaat Is binaa par fikr-e-aalam kya karen Ek saaghar par hai apnee zindagee Rafta rafta is se bhee kam kya karen Kar chuke sab apnee apnee hikmaten Dam nikaltaa ho to hamdam kya karen Dil ne seekhaa sheva-e-begaanagee Aise naa-mahram ko mahram kya karen Ma.arka hai aaj husn o ishq kaa Dekhiye wo kya karen ham kya karen Aa.eena hai aur wo hain dekhiye Faisla donon ye baaham kya karen Aadmee honaa bahut dushvaar hai Phir farishte hirs-e-aadam kya karen Tund-khoo hai kab sune wo dil kee baat Aur bhee barham ko barham kya karen Hyderabad aur langar yaad hai Ab ke dillee men moharram kya karen Kahte hain ahl-e-sifaarish mujh se 'daagh' Teree qismat hai buree ham kya karen