gair ko munh lagaa ke dekh liyaa

Dagh Dehlvi

Ghair ko munh lagaa ke dekh liyaa JhuuT sach aazmaa ke dekh liyaa Un ke ghar 'daagh' jaa ke dekh liyaa Dil ke kahne men aa ke dekh liyaa Kitnee farhat-fazaa thee boo-e-wafa Us ne dil ko jalaa ke dekh liyaa Kabhee ghash men raha shab-e-va.ada Kabhee gardan uThaa ke dekh liyaa Jins-e-dil hai ye wo naheen sauda Har jagah se mangaa ke dekh liyaa Log kahte hain chup lagee hai tujhe Haal-e-dil bhee sunaa ke dekh liyaa Jaao bhee kya karoge mehr-o-wafa Baar-haa aazmaa ke dekh liyaa Zakhm-e-dil men naheen hai qatra-e-khoon Khuub ham ne dikhaa ke dekh liyaa Idhar aa.eena hai udhar dil hai Jis ko chaahaa uThaa ke dekh liyaa Un ko khalvat-saraa men be-parda Saaf maidaan paa ke dekh liyaa Us ne sub.h-e-shab-e-visaal mujhe Jaate jaate bhee aa ke dekh liyaa Tum ko hai vasl-e-ghair se inkaar Aur jo ham ne aa ke dekh liyaa 'daagh' ne khuub aashiqee kaa mazaa Jal ke dekhaa jalaa ke dekh liyaa