gazab kiyaa tire vaade pe e tibaar kiyaa

Dagh Dehlvi

Ghazab kiyaa tire va.ade pe aitbaar kiyaa Tamaam raat qayaamat kaa intizaar kiyaa Kisee tarah jo na us but ne aitbaar kiyaa Miree wafa ne mujhe khuub sharmsaar kiyaa Hansaa hansaa ke shab-e-vasl ashk-baar kiyaa Tasalliyaan mujhe de de ke be-qaraar kiyaa Ye kis ne jalva hamaare sar-e-mazaar kiyaa Ki dil se shor uThaa haa.e be-qaraar kiyaa Sunaa hai tegh ko qaatil ne aab-daar kiyaa Agar ye sach hai to be-shub.ha ham pe vaar kiyaa Na aa.e raah pe wo ijz be-shumaar kiyaa Shab-e-visaal bhee main ne to intizaar kiyaa Tujhe to waada-e-deedaar ham se karnaa tha Ye kya kiyaa ki jahaan ko umeed-vaar kiyaa Ye dil ko taab kahaan hai ki ho ma.aal-andesh Unhon ne va.ada kiyaa is ne aitbaar kiyaa Kahaan kaa sabr ki dam par hai ban ga.ee zaalim Ba tang aa.e to haal-e-dil aashkaar kiyaa TaDap phir ai dil-e-naadaan ki ghair kahte hain Akheer kuch na banee sabr ikhtiyaar kiyaa Mile jo yaar kee shokhee se us kee bechainee Tamaam raat dil-e-muztarib ko pyaar kiyaa Bhulaa bhulaa ke jataayaa hai un ko raaz-e-nihaan Chhupaa chhupaa ke mohabbat ko aashkaar kiyaa Na us ke dil se miTaayaa ki saaf ho jaataa Sabaa ne khaak pareshaan miraa ghubaar kiyaa Ham aise mahv-e-nazaara na the jo hosh aataa Magar tumhaare taghaaful ne hoshyaar kiyaa Hamaare siine men jo rah ga.ee thee aatish-e-hijr Shab-e-visaal bhee us ko na ham-kanaar kiyaa Raqeeb o sheva-e-ulfat khuda kee qudrat hai Wo aur ishq bhalaa tum ne aitbaar kiyaa Zabaan-e-khaar se niklee sadaa-e-bismillaah Junoon ko jab sar-e-shoreeda par savaar kiyaa Tiree nigah ke tasavvur men ham ne ai qaatil Lagaa lagaa ke gale se chhuree ko pyaar kiyaa Ghazab thee kasrat-e-mahfil ki main ne dhoke men Hazaar baar raqeebon ko ham-kanaar kiyaa Huaa hai koi magar us kaa chaahne vaalaa Ki aasmaan ne tiraa sheva ikhtiyaar kiyaa Na poochh dil kee haqeeqat magar ye kahte hain Wo be-qaraar rahe jis ne be-qaraar kiyaa Jab un ko tarz-e-sitam aa ga.e to hosh aayaa Buraa ho dil kaa bure waqt hoshyaar kiyaa Fasaana-e-shab-e-gham un ko ik kahaanee thee Kuch aitbaar kiyaa kuch na aitbaar kiyaa Aseeree dil-e-aashufta rang laa ke rahi Tamaam turra-e-tarraar taar taar kiyaa Kuch aa ga.ee daavar-e-mahshar se hai ummeed mujhe Kuch aap ne mire kahne kaa aitbaar kiyaa Kisee ke ishq-e-nihaan men ye bad-gumaanee thee Ki Darte Darte khuda par bhee aashkaar kiyaa Falak se taur qayaamat ke ban na paDte the Akheer ab tujhe aashob-e-rozgaar kiyaa Wo baat kar jo kabhee aasmaan se ho na sake Sitam kiyaa to baDaa too ne iftikhaar kiyaa Banegaa mehr-e-qayaamat bhee ek khaal-e-siyaah Jo chehra 'daagh'-e-siyah-roo ne aashkaar kiyaa