haath nikle apne donon kaam ke
— Dagh Dehlvi
Haath nikle apne donon kaam ke
Dil ko thaamaa un kaa daaman thaam ke
GhoonT pee kar baada-e-gulfaam ke
Bose le letaa hoon khaalee jaam ke
Raat din phirtaa hai kyuun ai charkh-e-peer
Tere din hain raahat o aaraam ke
Is nazaakat kaa buraa ho bazm se
UThte hain wo dast-e-dushman thaam ke
Chashm-e-mast-e-yaar kee ik dhuum hai
Aaj kal hain daur daur-e-jaam ke
Yaa jigar men yaa rahegaa dil men tiir
Ye hee do goshe to hain aaraam ke
Wo karen uzr-e-wafa achchhee kahee
Mujh pe radde rakhte hain ilzaam ke
Jab qadam kaabe se rakkhaa soo-e-dair
Taar uljhe jaama-e-ehraam ke
Khush hain wo daur-e-falak se aaj kal
Din phire hain gardish-e-ayyaam ke
Aa gaya hai bhuul kar khat is taraf
Wo to aashiq hain mire hamnaam ke
Haath se sayyaad ke gir kar chhuree
KaT ga.e halqe hamaare daam ke
Qaasidon ke muntazir rehne lage
PaD ga.e un ko maze paighaam ke
Kya kisee dargaah men jaanaa hai aaj
Sub.h se saamaan hain hammaam ke
Poochhte hain hazrat-e-zaahid se rind
Daam kya hain jaama-e-ehraam ke
Lab utar aa.e hain wo taareef par
Ham jo aadee ho ga.e dushnaam ke
Daava-e-ishq-o-wafa par ye kahaa
Sab bajaa lekin mire kis kaam ke
Ban-sanvar kar kab bigaDtaa hai banaao
Sub.h tak rahte hain jalve shaam ke
Jaur se yaa lutf se puuraa kiyaa
Aap peechhe paD ga.e jis kaam ke
Hai gadaa-e-mai-kada bhee kya harees
Bhar liye jholee men TukDe jaam ke
Naala o fariyaad kee taaqat kahaan
Baat kartaa hoon kalejaa thaam ke
Khoogar-e-bedaad ko raahat hai maut
Bhaagtaa hoon naam se aaraam ke
'daagh' ke sab harf likhte hain judaa
TukDe kar Daale hamaare naam ke