is adaa se wo jafaa karte hain

Dagh Dehlvi

Is adaa se wo jafaa karte hain Koee jaane ki wafa karte hain Yuun wafa ahd-e-wafa karte hain Aap kya kahte hain kya karte hain Ham ko chheDoge to pachhtaaoge Hansne vaalon se hansaa karte hain Naama-bar tujh ko saleeqa hee naheen Kaam baaton men banaa karte hain Chaliye aashiq kaa janaaza uTThaa Aap baiThe hue kya karte hain Ye bataataa naheen koee mujh ko Dil jo aataa hai to kya karte hain Husn kaa haq naheen rahtaa baaqee Har adaa men wo adaa karte hain Tiir aakhir badal-e-kaafir hai Ham akheer aaj duaa karte hain Rote hain ghair kaa ronaa pahron Ye hansee mujh se hansaa karte hain Is liye dil ko lagaa rakkhaa hai Is men mahboob raha karte hain Tum miloge na vahaan bhee ham se Hashr se pahle gila karte hain Jhaank kar rauzan-e-dar se mujh ko Kya wo shokhee se hayaa karte hain Us ne ehsaan jataa kar ye kahaa Aap kis munh se gila karte hain Roz lete hain nayaa dil dilbar Naheen maaloom ye kya karte hain 'daagh' too dekh to kya hota hai Jabr par sabr kiyaa karte hain