is nahin kaa koi ilaaj nahin
— Dagh Dehlvi
Is naheen kaa koee ilaaj naheen
Roz kahte hain aap aaj naheen
Kal jo thaa aaj wo mizaaj naheen
Is talavvun kaa Kuch ilaaj naheen
Aa.ina dekhte hee itraa.e
Phir ye kya hai agar mizaaj naheen
Le ke dil rakh lo kaam aa.egaa
Go abhee tum ko ehtiyaaj naheen
Ho saken ham mizaaj-daan kyoonkar
Ham ko miltaa tiraa mizaaj naheen
Chup lagee laal-e-jaan-fazaa ko tire
Is maseehaa kaa Kuch ilaaj naheen
Dil-e-be-mudda.aa khuda ne diyaa
Ab kisee shai kee ehtiyaaj naheen
KhoTe daamon men ye bhee kya Thahraa
Dirham-e-daagh kaa rivaaj naheen
Be-niyaazee kee shaan kahtee hai
Bandagee kee Kuch ehtiyaaj naheen
Dil-lagee keejiye raqeebon se
Is tarah kaa miraa mizaaj naheen
Ishq hai paadshaah-e-aalam-geer
Garche zaahir men takht-o-taaj naheen
Dard-e-furqat kee go davaa hai visaal
Is ke qaabil bhee har mizaaj naheen
Yaas ne kya bujhaa diyaa dil ko
Ki taDap kaisee ikhtilaaj naheen
Ham to seerat-pasand aashiq hain
Khoob-roo kya jo khush-mizaaj naheen
Huur se poochhtaa hoon jannat men
Is jagah kya buton kaa raaj naheen
Sabr bhee dil ko 'daagh' de lenge
Abhee Kuch is kee ehtiyaaj naheen