jo ho saktaa hai us se wo kisi se ho nahin saktaa

Dagh Dehlvi

Jo ho saktaa hai us se wo kisee se ho naheen saktaa Magar dekho to phir Kuch aadmee se ho naheen saktaa Mohabbat men kare kya Kuch kisee se ho naheen saktaa Miraa marnaa bhee to meree khushee se ho naheen saktaa Alag karnaa raqeebon kaa ilaahee tujh ko aasaan hai Mujhe mushkil ki meree bekasee se ho naheen saktaa Kiyaa hai waada-e-fardaa unhon ne dekhiye kya ho Yahaan sabr o tahammul aaj hee se ho naheen saktaa Ye mushtaaq-e-shahaadat kis jagah jaa.en kise DhoonDen Ki teraa kaam qaatil jab tujhee se ho naheen saktaa Lagaa kar tegh qissa paak kiije daad-khvaahon kaa Kisee kaa faisla gar munsifee se ho naheen saktaa Miraa dushman ba-zaahir chaar din ko dost hai teraa Kisee kaa ho rahe ye har kisee se ho naheen saktaa Dam-e-pursish kahoge kya vahaan jab yaan ye soorat hai Adaa ik harf-e-waada naazukee se ho naheen saktaa Na kahiye go ki haal-e-dil magar rang-aashnaa hain ham Ye zaahir aap kee kya khaamushee se ho naheen saktaa Kiyaa jo ham ne zaalim kya karegaa ghair munh kya hai Kare to sabr aisa aadmee se ho naheen saktaa Chaman men naaz bulbul ne kiyaa jo apnee naale par ChaTak kar ghuncha bolaa kya kisee se ho naheen saktaa Naheen gar tujh pe qaaboo dil hee par Kuch zor ho apna Karoon kya ye bhee to naa-taaqatee se ho naheen saktaa Na ronaa hai tareeqe kaa na hansnaa hai saleeqe kaa Pareshaanee men koee kaam jee se ho naheen saktaa Huaa hoon is qadar mahjoob 'arz-e-mudda'aa kar ke Ki ab to 'uzr bhee sharmindagee se ho naheen saktaa Ghazab men jaan hai kya kiije badla ranj-e-furqat kaa Badee se kar naheen sakte khushee se ho naheen saktaa Mazaa jo iztiraab-e-shauq se 'aashiq ko hai haasil Wo tasleem o razaa o bandagee se ho naheen saktaa Khuda jab dost hai ai 'daagh' kya dushman se andesha Hamaaraa Kuch kisee kee dushmanee se ho naheen saktaa