kaabe ki hai havas kabhi kuu e butaan ki hai
— Dagh Dehlvi
Kaabe kee hai havas kabhi koo-e-butaan kee hai
Mujh ko khabar nahin miree miTTee kahaan kee hai
Sun ke miraa fasaana unhen lutf aa gaya
Suntaa hoon ab ki roz talab qissa-khvaan kee hai
Paighaam-bar kee baat par aapas men ranj kya
Meree zabaan kee hai na tumhaaree zabaan kee hai
Kuch taazgee ho lazzat-e-aazaar ke liye
Har dam mujhe talaash na.e aasmaan kee hai
Jaan-bar bhee ho ga.e hain bahut mujh se neem-jaan
Kya gham hai ai tabeeb jo puuree vahaan kee hai
Hasrat baras rahi hai hamaare mazaar par
Kahte hain sab ye qabr kisee naujavaan kee hai
Waqt-e-khiraam-e-naaz dikhaa do judaa judaa
Ye chaal hashr kee ye ravish aasmaan kee hai
Fursat kahaan ki ham se kisee waqt too mile
Din ghair kaa hai raat tire paasbaan kee hai
Qaasid kee guftugoo se tasallee ho kis tarah
Chhuptee nahin wo baat jo teree zabaan kee hai
Jaur-e-raqeeb o zulm-e-falak kaa nahin khayaal
Tashveesh ek khaatir-e-naa-mehrbaan kee hai
Sun kar miraa fasaana-e-gham us ne ye kahaa
Ho jaa.e jhuuT sach yahee khoobee bayaan kee hai
Daaman sambhaal baandh kamar aasteen chaDhaa
Khanjar nikaal dil men agar imtihaan kee hai
Har har nafas men dil se nikalne lagaa ghubaar
Kya jaane gard-e-raah ye kis kaarvaan kee hai
Kyoonki na aate khuld se aadam zameen par
Mauzoon vaheen wo khuub hai jo sunte jahaan kee hai
Taqdeer se ye poochh raha hoon ki ishq men
Tadbeer koi bhee sitam-e-naa-gahaan kee hai
Urdu hai jis kaa naam hameen jaante hain 'daagh'
Hindostaan men dhuum hamaaree zabaan kee hai