kaun saa taair e gum gashta use yaad aayaa
— Dagh Dehlvi
Kaun saa taa.ir-e-gum-gashta use yaad aayaa
Dekhtaa bhaaltaa har shaakh ko sayyaad aayaa
Mere qaaboo men na pahron dil-e-naashaad aayaa
Wo miraa bhoolne vaalaa jo mujhe yaad aayaa
Koi bhoolaa huaa andaaz-e-sitam yaad aayaa
Ki tabassum tujhe zaalim dam-e-be-daad aayaa
Laa.e hain log janaaze kee tarah mahshar men
Kis museebat se tiraa kushta-e-bedaad aayaa
Jazb-e-vahshat tire qurbaan tiraa kya kahnaa
Khinch ke rag rag men mire nashtar-e-fassaad aayaa
Us ke jalve ko gharaz kaun-o-makaan se kya thaa
Daad lene ke liye husn-e-khuda-daad aayaa
Bastiyon se yahee awaaz chalee aatee hai
Jo kiyaa too ne wo aage tire farhaad aayaa
Dil-e-veeraan se raqeebon ne muraaden paa.een
Kaam kis kis ke miraa khirman-e-barbaad aayaa
Ishq ke aate hee munh par mire phoolee hai basant
Ho gaya zard ye shaagird jab ustaad aayaa
Ho gaya farz mujhe shauq kaa daftar likhnaa
Jab mire haath koi khaama-e-faulaad aayaa
Iid hai qatl miraa ahl-e-tamaashaa ke liye
Sab gale milne lage jab ki wo jallaad aayaa
Chain karte hain vahaan ranj uThaane vaale
Kaam uqbaa men hamaaraa dil-e-naashaad aayaa
Dee shab-e-vasl mo.azzin ne azaan pichhlee raat
Haa.e kam-bakht ko kis vaqt khuda yaad aayaa
Mere naale ne sunaa.ee hai kharee kis kis ko
Munh farishton pe ye gustaakh ye aazaad aayaa
Gham-e-jaaved ne dee mujh ko mubaarakbaadee
Jab sunaa ye ki unhen sheva-e-bedaad aayaa
Main tamannaa-e-shahaadat kaa mazaa bhuul gaya
Aaj is shauq se armaan se jallaad aayaa
Shaadiyaana jo diyaa naala o shevan ne diyaa
Jab mulaaqaat ko naashaad kee naashaad aayaa
Leejiye suniye ab afsaana-e-furqat mujh se
Aap ne yaad dilaayaa to mujhe yaad aayaa
Aap kee bazm men sab kuchh hai magar 'daagh' nahin
Ham ko wo khaana-kharaab aaj bahut yaad aayaa