khaatir se yaa lihaaz se main maan to gaya
— Dagh Dehlvi
Khaatir se yaa lihaaz se main maan to gaya
JhooTee qasam se aap kaa eemaan to gaya
Dil le ke muft kahte hain Kuch kaam kaa naheen
UlTee shikaayaten huiin ehsaan to gaya
Dartaa hoon dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main
Sunsaan ghar ye kyuun na ho mehmaan to gaya
Kya aa.e raahat aa.ee jo kunj-e-mazaar men
Wo valvala wo shauq wo armaan to gaya
Dekhaa hai but-kade men jo ai shaikh Kuch na poochh
Eemaan kee to ye hai ki eemaan to gaya
Ifshaa-e-raaz-e-ishq men go zillaten huiin
Lekin use jataa to diyaa jaan to gaya
Go naama-bar se khush na huaa par hazaar shukr
Mujh ko wo mere naam se pahchaan to gaya
Bazm-e-adoo men soorat-e-parvaana dil miraa
Go rashk se jalaa tire qurbaan to gaya
Hosh o havaas o taab o tavaan 'daagh' jaa chuke
Ab ham bhee jaane vaale hain saamaan to gaya