milaate ho usii ko khaak men jo dil se miltaa hai
— Dagh Dehlvi
Milaate ho usee ko khaak men jo dil se miltaa hai
Miree jaan chaahne vaalaa baDee mushkil se miltaa hai
Kaheen hai iid kee shaadee kaheen maatam hai maqtal men
Koee qaatil se miltaa hai koee bismil se miltaa hai
Pas-e-parda bhee lailaa haath rakh letee hai aankhon par
Ghubaar-e-naa-tavaan-e-qais jab mahmil se miltaa hai
Bhare hain tujh men wo laakhon hunar ai majma-e-khoobee
Mulaaqaatee tiraa goyaa bharee mahfil se miltaa hai
Mujhe aataa hai kya kya rashk vaqt-e-zab.h us se bhee
Galaa jis dam lipaT kar khanjar-e-qaatil se miltaa hai
Ba-zaahir baa-adab yuun hazrat-e-naaseh se miltaa hoon
Mureed-e-khaas jaise murshid-e-kaamil se miltaa hai
Misaal-e-ganj-e-qaaroon ahl-e-haajat se naheen chhuptaa
Jo hota hai sakhee khud DhoonD kar saa.il se miltaa hai
Javaab is baat kaa us shokh ko kya de sake koee
Jo dil le kar kahe kam-bakht too kis dil se miltaa hai
Chhupaa.e se koee chhuptee hai apne dil kee betaabee
Ki har taar-e-nafas apna rag-e-bismil se miltaa hai
Adam kee jo haqeeqat hai wo poochho ahl-e-hastee se
Musaafir ko to manzil kaa pataa manzil se miltaa hai
Ghazab hai 'daagh' ke dil se tumhaaraa dil naheen miltaa
Tumhaaraa chaand saa chehra mah-e-kaamil se miltaa hai