mujh saa na de zamaane ko parvardigaar dil
— Dagh Dehlvi
Mujh saa na de zamaane ko parvardigaar dil
Aashufta dil farefta dil be-qaraar dil
Har baar maangtee hain nayaa chashm-e-yaar dil
Ik dil ke kis tarah se banaa.oon hazaar dil
Mash.hoor ho ga.ee hai ziyaarat shaheed kee
Khoon-kushta aarzoo kaa banaa hai mazaar dil
Ye said-gaah-e-ishq hai Thahraa.iye nigaah
Sayyaad-e-muztarib se na hogaa shikaar dil
Toofaan-e-nooh bhee ho to mil jaa.e khaak men
Allaah re ghubaar tiraa pur ghubaar dil
Poochhaa jo us ne taalib-e-roz-e-jazaa hai kaun
Niklaa miree zabaan se be-ikhtiyaar dil
Karte ho ahd-e-vasl to itnaa rahe khayaal
Paimaan se ziyaada hai naa-paa.edaar dil
Taaseer-e-ishq ye hai tire ahd-e-husn men
MiTTee kaa bhee banaa.en to ho be-qaraar dil
Us kee talaash hai ki nazar aa.e aarzoo
Zaalim ne roz chaak kiye hain hazaar dil
Aalam huaa tamaam raha us ko shauq-e-hoor
Barsaa.e aasmaan se parvardigaar dil
Pahle-pahal kee chaah kaa kiije na imtihaan
Aanaa to siikh le abhee do-chaar baar dil
Nikle miree baghal se wo aise taDap ke saath
Yaad aa gaya mujhe vaheen be-ikhtiyaar dil
Ai andaleeb tujh ko lage kab havaa-e-ishq
Kaliyon kee tarah tujh men na phooTe hazaar dil
Aashiq hue wo jaise adoo par ye haal hai
Rakh kah ke haath dekhte hain baar baar dil
Us ne kahaa hai sabr paDegaa raqeeb kaa
Le aur be-qaraar huaa be-qaraar dil
Betaab ho ke bazm se us kee uThaa diyaa
Ghaafil main huun magar hai bahut hoshyaar dil
Mash.hoor hain sikandar o jam kee nishaaniyaan
Ai 'daagh' chhoD jaa.enge ham yaadgaar dil