naa ravaa kahiye naa sazaa kahiye
— Dagh Dehlvi
Naa-ravaa kahiye naa-sazaa kahiye
Kahiye kahiye mujhe buraa kahiye
Tujh ko bad-ahd o bevafaa kahiye
Aise jhooTe ko aur kya kahiye
Dard dil kaa na kahiye yaa kahiye
Jab wo poochhe mizaaj kya kahiye
Phir na rukiye jo mudda.aa kahiye
Ek ke ba.ad doosraa kahiye
Aap ab meraa munh na khulvaa.en
Ye na kahiye ki mudda.aa kahiye
Wo mujhe qatl kar ke kahte hain
Maantaa hee na tha ye kya kahiye
Dil men rakhne kee baat hai gham-e-ishq
Is ko hargiz na barmalaa kahiye
Tujh ko achchhaa kahaa hai kis kis ne
Kahne vaalon ko aur kya kahiye
Wo bhee sun lenge ye kabhi na kabhi
Haal-e-dil sab se jaa-ba-jaa kahiye
Mujh ko kahiye buraa na ghair ke saath
Jo ho kahnaa judaa judaa kahiye
Intihaa ishq kee khuda jaane
Dam-e-aakhir ko ibtidaa kahiye
Mere matlab se kya gharaz matlab
Aap apna to mudda.aa kahiye
Aisi kashtee kaa Doobnaa achchhaa
Ki jo dushman ko naakhudaa kahiye
Sabr furqat men aa hee jaataa hai
Par use der-aashnaa kahiye
Aa ga.ee aap ko maseehaa.ee
Marne vaalon ko marhabaa kahiye
Aap kaa khair-khvaah mere sivaa
Hai koi aur doosraa kahiye
Haath rakh kar wo apne kaanon par
Mujh se kahte hain maajraa kahiye
Hosh jaate rahe raqeebon ke
'daagh' ko aur baa-wafa kahiye