saaf kab imtihaan lete hain

Dagh Dehlvi

Saaf kab imtihaan lete hain Wo to dam de ke jaan lete hain Yuun hai manzoor khaana-veeraanee Mol meraa makaan lete hain Tum taghaaful karo raqeebon se Jaanne vaale jaan lete hain Phir na aanaa agar koee bheje Naama-bar se zabaan lete hain Ab bhee gir paD ke zof se naale Saatvaan aasmaan lete hain Tere khanjar se bhee to ai qaatil Nok kee nau-javaan lete hain Apne bismil kaa sar hai zaanoo par Kis mohabbat se jaan lete hain Ye sunaa hai mire liye talvaar Ik mire mehrbaan lete hain Ye na kah ham se tere munh men khaak Is men teree zabaan lete hain Kaun jaataa hai us galee men jise Duur se paasbaan lete hain Manzil-e-shauq tai naheen hotee Thekiyaan naa-tavaan lete hain Kar guzarte hain ho buree ki bhalee Dil men jo Kuch wo Thaan lete hain Wo jhagaDte hain jab raqeebon se Biich men mujh ko saan lete hain Zid har ik baat par naheen achchhee Dost kee dost maan lete hain Musta.id ho ke ye kaho to sahee Aa.iye imtihaan lete hain 'daagh' bhee hai ajiib sehr-bayaan Baat jis kee wo maan lete hain