zaahid na kah burii ki ye mastaane aadmii hain

Dagh Dehlvi

Zaahid na kah buree ki ye mastaane aadmee hain Tujh ko lipaT paDenge deevaane aadmee hain Ghairon kee dostee par kyuun aitbaar kiije Ye dushmanee karenge begaane aadmee hain Jo aadmee pe guzree wo ik sivaa tumhaare Kya jee lagaa ke sunte afsaane aadmee hain Kya jur.aten jo ham ko darbaan tumhaaraa Toke Kah do ki ye to jaane-pahchaane aadmee hain Mai buund bhar pilaa kar kya hans raha hai saaqee Bhar bhar ke piite aakhir paimaane aadmee hain Tum ne hamaare dil men ghar kar liyaa to kya hai Aabaad karte aakhir veeraane aadmee hain Naaseh se koi kah de kiije kalaam aisa Hazrat ko taa ki koi ye jaane aadmee hain Jab daavar-e-qayaamat poochhegaa tum pe rakh kar Kah denge saaf ham to begaane aadmee hain Main wo bashar ki mujh se har aadmee ko nafrat Tum sham.a wo ki tum par parvaane aadmee hain Mahfil bharee huee hai sauda.iyon se us kee Us ghairat-e-paree par deevaane aadmee hain Shaabaash 'daagh' tujh ko kya tegh-e-ishq khaa.ee Jee karte hain vahee jo mardaane aadmee hain