aqliimaa aqliimaa
— Fahmida Riaz
Aqleemaa
Jo haabeel kee qaabeel kee maan-jaa.ee hai
Maan-jaa.ee
Magar mukhtalif
Mukhtalif biich men raanon ke
Aur pistaanon ke ubhaaron men
Aur apne peT ke andar
Apnee kokh men
In sab kee qismat kyuun hai
Ik farba bheD ke bachche kee qurbaanee
Vo apne badan kee qaidee
Taptee huee dhoop men jalte
Tiile par khaDee huee hai
Patthar par naqsh banee hai
Us naqsh ko ghaur se dekho
Lambee raanon se uupar
Ubhre pistaanon se uupar
Pecheeda kokh se uupar
Aqleemaa kaa sar bhee hai
Allaah kabhi aqleemaa se bhee kalaam kare
Aur Kuch poochhe
Aqlima
Jo habil ki qabil ki man-jai hai
Man-jai
Magar muKHtalif
MuKHtalif bich mein ranon ke
Aur pistanon ke ubhaaron mein
Aur apne peT ke andar
Apni kokh mein
In sab ki qismat kyun hai
Ek farba bheD ke bachche ki qurbani
Wo apne badan ki qaidi
Tapti hui dhup mein jalte
Tile par khaDi hui hai
Patthar par naqsh bani hai
Us naqsh ko ghaur se dekho
Lambi ranon se upar
Ubhre pistanon se upar
Pechida kokh se upar
Aqlima ka sar bhi hai
Allah kabhi aqlima se bhi kalam kare
Aur Kuch puchhe