chaar suu hai badii vahshat kaa samaan

Fahmida Riaz

Chaar-soo hai baDee vahshat kaa samaan Kisee aaseb kaa saaya hai yahaan Koee awaaz see hai marsiyaan-khvaan Shahr kaa shahr banaa goristaan Ek makhlooq jo bastee hai yahaan Jis pe insaan kaa guzartaa hai gumaan Khud to saakit hai misaal-e-tasveer Jumbish-e-ghair se hai raqs-kunaan Koee chehra nahin juz zer-e-naqaab Na koi jism hai juz be-dil-o-jaan Ulmaa hain dushman-e-fahm-o-tahaqeeq Kodanee sheva-e-daanish-mandaan Shaa.ir-e-qaum pe ban aa.ee hai Kizb kaise ho tasavvuf men nihaan Lab hain masroof-e-qaseeda-goee Aur aankhon men hai zillat uryaan Sabz khat aaqibat-o-deen ke asiir Paarsaa khush-tan-o-nau-khez javaan Ye zan-e-naghma-gar-o-ishq-shi.aar Yaas-o-hasrat se huee hai hairaan Kis se ab aarzoo-e-vasl karen Is kharaabe men koi mard kahaan Chaar-su hai baDi wahshat ka saman Kisi aaseb ka saya hai yahan Koi aawaz si hai marsiyan-KHwan Shahr ka shahr bana goristan Ek maKHluq jo basti hai yahan Jis pe insan ka guzarta hai guman KHud to sakit hai misal-e-taswir Jumbish-e-ghair se hai raqs-kunan Koi chehra nahin juz zer-e-naqab Na koi jism hai juz be-dil-o-jaan Ulma hain dushman-e-fahm-o-tahaqiq Kodani shewa-e-danish-mandan Shair-e-qaum pe ban aai hai Kizb kaise ho tasawwuf mein nihan Lab hain masruf-e-qasida-goi Aur aankhon mein hai zillat uryan Sabz KHat aaqibat-o-din ke asir Parsa KHush-tan-o-nau-KHez jawan Ye zan-e-naghma-gar-o-ishq-shiar Yas-o-hasrat se hui hai hairan Kis se ab aarzu-e-wasl karen Is KHarabe mein koi mard kahan