dillii tirii Chaaon

Fahmida Riaz

Dillee! tiree Chaaon baDee qahree Miree puuree kaayaa pighal rahi Mujhe gale lagaa kar galee galee Dheere se kahe'' too kaun hai ree?'' Main kaun hoon maan tiree jaa.ee hoon Par bhes na.e se aa.ee hoon Main ramtee pahunchee apnon tak Par priit paraa.ee laa.ee hoon Taareekh kee ghor guphaaon men Shaayad paa.e pahchaan miree Thaa biij men des kaa pyaar ghulaa Pardes men kya kya bel chaDhee Nas nas men lahoo to teraa hai Par aansoo mere apne hain HonTon par rahi tiree bolee Par nain men sindh ke sapne hain Man maaTee jamunaa ghaaT kee thee Par samajh zaraa us kee dhaDkan Is men kaaroonjhar kee siskee Is men ho ke Daaltaa chaltan! Tire aangan meeThaa kuaan hanse Kyaa phal paa.e miraa man rogee Ik riit nagar se moh miraa Baste hain jahaan pyaase jogee Tiraa mujh se kokh kaa naata hai Mire man kee piiDaa jaan zaraa Vo ruup dikhaa.oon tujhe kaise Jis par sab tan man vaar diyaa Kyaa giit hain wo koh-yaaron ke Kyaa ghaa.il un kee baanee hai Kyaa laaj rangee wo phaTee chaadar Jo tharkee tapat ne taanee hai Vo ghaav ghaav tan un ke Par nas nas men agnee dahkee Vo baaT ghiree sangeenon se Aur jhapaT shikaaree kutton kee Hain jin ke haath par angaare Main un banjaaron kee cheeree Maan un ke aage kos kaDe Aur sar pe kaDaktee do-pahree Main bandee baandhoon kee baandee Vo bandee-khaane toDenge Hai jin haathon men haath diyaa So saaree salaakhen moDenge Too sadaa suhaagan ho maan rii! Mujhe apnee tod nibhaanaa hai Ree dillee chhoo kar charan tire Mujh ko vaapas muD jaanaa hai Dilli! teri chhanw baDi qahri Meri puri kaya pighal rahi Mujhe gale laga kar gali gali Dhire se kahe tu kaun hai ri? Main kaun hun man teri jai hun Par bhes nae se aai hun Main ramti pahunchi apnon tak Par prit parai lai hun TariKH ki ghor guphaon mein Shayad pae pahchan meri Tha bij mein des ka pyar ghula Pardes mein kya kya bel chaDhi Nas nas mein lahu to tera hai Par aansu mere apne hain HonTon par rahi teri boli Par nain mein sindh ke sapne hain Man maTi jamuna ghaT ki thi Par samajh zara us ki dhaDkan Is mein karunjhar ki siski Is mein ho ke Dalta chaltan! Tere aangan miTha kuan hanse Kya phal pae mera man rogi Ek rit nagar se moh mera Baste hain jahan pyase jogi Tera mujh se kokh ka nata hai Mere man ki piDa jaan zara Wo rup dikhaun tujhe kaise Jis par sab tan man war diya Kya git hain wo koh-yaron ke Kya ghail un ki bani hai Kya laj rangi wo phaTi chadar Jo tharki tapat ne tani hai Wo ghaw ghaw tan un ke Par nas nas mein agni dahki Wo baT ghiri sanginon se Aur jhapaT shikari kutton ki Hain jin ke hath par angare Main un banjaron ki chiri Man un ke aage kos kaDe Aur sar pe kaDakti do-pahri Main bandi bandhun ki bandi Wo bandi-KHane toDenge Hai jin hathon mein hath diya So sari salaKHen moDenge Tu sada suhagan ho man ri! Mujhe apni tod nibhana hai Ri dilli chhu kar charan tere Mujh ko wapas muD jaana hai