ek zan e khaanaa ba dosh
— Fahmida Riaz
Tum ne dekhee hai kabhi ek zan-e-khaana-ba-dosh
Jis ke kheme se pare raat kee taareekee men
Gursana bheDiye ghurraate hain
Duur se aatee hai jab us kee lahoo kee khushboo
Sansanaatee hain darindon kee hansee
Aur daanton men kasak hotee hai
Ki karen us kaa badan sad-paara
Apne kheme men simaT kar aurat
Raat aankhon men bitaa detee hai
Kabhee kartee hai alaao raushan
BheDiye duur bhagaane ke liye
Kabhee kartee hai khayaal
Tez nukeelaa jo auzaar kaheen mil jaa.e
To banaa le hathiyaar
Us ke kheme men bhalaa kya hogaa
TuuTe phooTe hue bartan do-chaar
Dil ke bahlaane ko shaayad ye khayaal aate hain
Us ko maaloom hai shaayad na sahar ho paa.e
Sote bachchon pe jamaa.e nazren
Kaan aahaT pe dhare baiThee hai
Haan dhyaan us kaa jo baT jaa.e kabhi
Gungunaatee hai koi bisraa giit
Kisee banjaare kaa
Tum ne dekhi hai kabhi ek zan-e-KHana-ba-dosh
Jis ke KHeme se pare raat ki tariki mein
Gursana bheDiye ghurraate hain
Dur se aati hai jab us ki lahu ki KHushbu
Sansanati hain darindon ki hansi
Aur danton mein kasak hoti hai
Ki karen us ka badan sad-para
Apne KHeme mein simaT kar aurat
Raat aankhon mein bita deti hai
Kabhi karti hai alao raushan
BheDiye dur bhagane ke liye
Kabhi karti hai KHayal
Tez nukila jo auzar kahin mil jae
To bana le hathiyar
Us ke KHeme mein bhala kya hoga
TuTe phuTe hue bartan do-chaar
Dil ke bahlane ko shayad ye KHayal aate hain
Us ko malum hai shayad na sahar ho pae
Sote bachchon pe jamae nazren
Kan aahaT pe dhare baiThi hai
Han dhyan us ka jo baT jae kabhi
Gungunati hai koi bisra git
Kisi banjare ka