inqilaabii aurat
— Fahmida Riaz
Ranbhoomee men laDte laDte main ne kitne saal
Ik din jal men chhaayaa dekhee chaTTe ho ga.e baal
PaapaD jaisee huiin haDDiyaan jalne lage hain daant
Jagah jagah jhurriyon se bhar ga.ee saare tan kee khaal
Dekh ke apna haal huaa phir us ko bahut malaal
Are main buDhiyaa ho jaa.oongee aayaa na thaa khayaal
Us ne sochaa
Gar phir se mil jaa.e javaanee
Jis ko likhte hain deevaanee
Aur mastaanee
Jis men us ne inqalaab laane kee Thaanee
Vahee javaanee
Ab kee baar nahin doongee koi qurbaanee
Bas laa-haul paDhoongee aur nahin doongee koi qurbaanee
Dil ne kahaa
Kis soch men hai ai paagal buDhiyaa
Kahaan javaanee
Ya.anee us ko guzre ab tak kaafee arsa biit chukaa hai
Ye khayaal bhee der se aayaa
Bas ab ghar jaa
BuDhiyaa ne kab us kee maanee
Haalaanki ab wo hai naanee
Zaahir hai ab aur wo kar bhee kya saktee thee
Aasmaan par lekin taare aankh-micholee khel rahe the
Raat ke panchi bol rahe the
Aur kahte the
Ye shaayad us kee aadat hai
Yaa shaayad us kee fitrat hai
Ranbhumi mein laDte laDte main ne kitne sal
Ek din jal mein chhaya dekhi chaTTe ho gae baal
PapaD jaisi huin haDDiyan jalne lage hain dant
Jagah jagah jhurriyon se bhar gai sare tan ki khaal
Dekh ke apna haal hua phir us ko bahut malal
Are main buDhiya ho jaungi aaya na tha KHayal
Us ne socha
Gar phir se mil jae jawani
Jis ko likhte hain diwani
Aur mastani
Jis mein us ne inqalab lane ki Thani
Wahi jawani
Ab ki bar nahin dungi koi qurbani
Bas la-haul paDhungi aur nahin dungi koi qurbani
Dil ne kaha
Kis soch mein hai ai pagal buDhiya
Kahan jawani
Yani us ko guzre ab tak kafi arsa bit chuka hai
Ye KHayal bhi der se aaya
Bas ab ghar ja
BuDhiya ne kab us ki mani
Haalanki ab wo hai nani
Zahir hai ab aur wo kar bhi kya sakti thi
Aasman par lekin tare aankh-micholi khel rahe the
Raat ke panchhi bol rahe the
Aur kahte the
Ye shayad us ki aadat hai
Ya shayad us ki fitrat hai