is galii ke mod par
— Fahmida Riaz
Is galee ke moD par ik aziiz dost ne
Mere ashk ponchh kar
Aaj mujh se ye kahaa
Yuun na dil jalaao tum
LuuT maar kaa hai raaj
Jal raha hai kul samaaj
Ye fuzool raagnee
Mujh ko mat sunaao tum
Burzhvaa samaaj hai
LuuT maar choriyaan is kaa vasf-e-khaas hai
Is ko mat bhulaao tum
Inqalaab aa.egaa
Us se lau lagaao tum
Ho sake to aaj kal maal Kuch banaao tum
Khaa.ee se nikalne kee aarzoo se pesh-tar
Dekh lo zaraa jo hai doosree taraf hai gaDhaa hai
Aaj hain jo hukmaraan un se baDh ke khaufnaak un ke sab raqeeb hain
Dandanaa rahe hain jo le ke haath men chhuraa
Shukr kaa maqaam hai
Meree maskh laash aap ko kaheen milee nahin
Ik galee ke moD par
Main ne poochhaa vaaqa.ee
Sun ke muskuraa diyaa kitnee der ho ga.ee
Leejiye main ab chalaa us ke ba.ad ab kya huaa
KhaDkhaDaa.een haDDiyaan
Us galee ke moD se wo kaheen chalaa gaya
Is gali ke moD par ek aziz dost ne
Mere ashk ponchh kar
Aaj mujh se ye kaha
Yun na dil jalao tum
LuT mar ka hai raj
Jal raha hai kul samaj
Ye fuzul ragni
Mujh ko mat sunao tum
Burzhwa samaj hai
LuT mar choriyan is ka wasf-e-KHas hai
Is ko mat bhulao tum
Inqalab aaega
Us se lau lagao tum
Ho sake to aaj kal mal Kuch banao tum
Khai se nikalne ki aarzu se pesh-tar
Dekh lo zara jo hai dusri taraf hai gaDha hai
Aaj hain jo hukmaran un se baDh ke KHaufnak un ke sab raqib hain
Dandana rahe hain jo le ke hath mein chhura
Shukr ka maqam hai
Meri masKH lash aap ko kahin mili nahin
Ek gali ke moD par
Main ne puchha waqai
Sun ke muskura diya kitni der ho gai
Lijiye main ab chala us ke baad ab kya hua
KhaDkhaDain haDDiyan
Us gali ke moD se wo kahin chala gaya