kab tak kab tak mujh se pyaar karoge
— Fahmida Riaz
Kab tak mujh se pyaar karoge
Kab tak?
Jab tak mere rahm se bachche kee takhleeq kaa Khoon bahegaa
Jab tak meraa rang hai taaza
Jab tak meraa ang tanaa hai
Par is ke aage bhee to Kuch hai
Vo sab kya hai
Kise pata hai
Vaheen kee ek musaafir main bhee
Anjaane kaa shauq baDaa hai
Par tum mere saath na hoge tab tak
Kab tak mujh se pyar karoge
Kab tak?
Jab tak mere rahm se bachche ki taKHliq ka KHun bahega
Jab tak mera rang hai taza
Jab tak mera ang tana hai
Par is ke aage bhi to Kuch hai
Wo sab kya hai
Kise pata hai
Wahin ki ek musafir main bhi
Anjaane ka shauq baDa hai
Par tum mere sath na hoge tab tak