khaakam ba dahan main aazim e mai khaanaa thii kal raat ki dekhaa
— Fahmida Riaz
Main aazim-e-mai-khaanaa thee kal raat ki dekhaa
Ik koocha-e-pur-shor men as.haab-e-tareeqat
The dast o girebaan
Khaakam-ba-dahan pech amaamon ke khule the
Fatvon kee wo bochhaaD ki tabqaat the larzaan
Dastaan-e-mubaarak men thiin reeshaan-e-mubaarak
Moo-haa-e-mubaarak the fazaaon men pareshaan
Kahte the wo baaham ki hareefaan-e-siyah-roo
Kuffaar hain bad-khoo
Zindeeq hain mal.oon hain bante hain musalmaan
Haatif ne kahaa ro ke ki ai rab-e-samaavaat!
Laa-raib saraasar hain bajaa donon ke fatvaat
Khilqat hai bahut un ke azaabon se hiraasaan
Ab un kee hon amvaat!
Main aazim-e-mai-KHana thi kal raat ki dekha
Ek kucha-e-pur-shor mein ashab-e-tariqat
The dast o gireban
KHakam-ba-dahan pech amamon ke khule the
Fatwon ki wo bochhaD ki tabqat the larzan
Dastan-e-mubarak mein thin rishan-e-mubarak
Mu-ha-e-mubarak the fazaon mein pareshan
Kahte the wo baham ki harifan-e-siyah-ru
Kuffar hain bad-KHu
Zindiq hain malun hain bante hain musalman
Hatif ne kaha ro ke ki ai rab-e-samawat!
La-raib sarasar hain baja donon ke fatwat
KHilqat hai bahut un ke azabon se hirasan
Ab un ki hon amwat!