laao haath apna laao zaraa laao haath apna laao zaraa
— Fahmida Riaz
Laao haath apna laao zaraa
Chhoo ke meraa badan
Apne bachche ke dil kaa dhDaknaa suno
Naaf ke us taraf
Us kee jumbish ko mahsoos karte ho tum
Bas yaheen chhoD do
ThoDee der aur us haath ko mere ThanDe badan par yaheen chhoD do
Mere be-kal nafas ko qaraar aa gaya
Mere iisaa mire dard ke chaaragar
Meraa har moo-e-tan
Us hathelee se taskeen paane lagaa
Us hathelee ke neeche miraa laal karvaT see lene lagaa
Ungliyon se badan us kaa pahchaan lo
Tum use jaan lo
Choomne do mujhe apnee ye ungliyaan
Un kee har por ko choomne do mujhe
Naakhunon ko labon se lagaa luun zaraa
Phuul laatee huee ye haree ungliyaan
Meree aankhon se aansoo ubalte hue
Un se seenchoongee men
Phuul laatee huee ungliyon kee jaDen choomne do mujhe
Apne baal apne maathe kaa chaand apne lab
Ye chamaktee huee kaalee aankhen
Mire kaanpte honT meree chhalaktee huee aankh ko dekh kar kitnee hairaan hain
Tum ko ma.aloom kya tum ko ma.aloom kya
Tum ne jaane mujhe kya se kya kar diyaa
Mere andar andhere kaa aaseb tha
Yaa karaan taa karaan ek anmiT khalaa
Yoonhee phirtee thee main
Ziist ke zaa.iqe ko tarastee huee
Dil men aansoo bhare sab pe hanstee huee
Tum ne andar miraa is tarah bhar diyaa
PhooTtee hai mire jism se raushnee
Sab muqaddas kitaaben jo naazil huiin
Sab payambar jo ab tak utaare ga.e
Sab farishte ki hain baadalon se pare
Rang sangeet sar phuul kaliyaan shajar
Sub.h-dam peD kee jhoomtee Daaliyaan
Un ke mafhoom jo bhee bataa.e ga.e
Khaak par basne vaale bashar ko masarrat ke jitne bhee naghme sunaa.e ga.e
Sab rishee sab munee ambiyaa auliyaa
Khair ke devtaa husn nekee khuda
Aaj sab par mujhe
E'tibaar aa gaya aitbaar aa gaya
Lao hath apna lao zara
Chhu ke mera badan
Apne bachche ke dil ka dhDakna suno
Naf ke us taraf
Us ki jumbish ko mahsus karte ho tum
Bas yahin chhoD do
ThoDi der aur us hath ko mere ThanDe badan par yahin chhoD do
Mere be-kal nafas ko qarar aa gaya
Mere isa mere dard ke chaaragar
Mera har mu-e-tan
Us hatheli se taskin pane laga
Us hatheli ke niche mera lal karwaT si lene laga
Ungliyon se badan us ka pahchan lo
Tum use jaan lo
Chumne do mujhe apni ye ungliyan
Un ki har por ko chumne do mujhe
NaKHunon ko labon se laga lun zara
Phul lati hui ye hari ungliyan
Meri aankhon se aansu ubalte hue
Un se sinchungi mein
Phul lati hui ungliyon ki jaDen chumne do mujhe
Apne baal apne mathe ka chand apne lab
Ye chamakti hui kali aankhen
Mere kanpte honT meri chhalakti hui aankh ko dekh kar kitni hairan hain
Tum ko malum kya tum ko malum kya
Tum ne jaane mujhe kya se kya kar diya
Mere andar andhere ka aaseb tha
Ya karan ta karan ek anmiT KHala
Yunhi phirti thi main
Zist ke zaiqe ko tarasti hui
Dil mein aansu bhare sab pe hansti hui
Tum ne andar mera is tarah bhar diya
PhuTti hai mere jism se raushni
Sab muqaddas kitaben jo nazil huin
Sab payambar jo ab tak utare gae
Sab farishte ki hain baadalon se pare
Rang sangit sar phul kaliyan shajar
Subh-dam peD ki jhumti Daliyan
Un ke mafhum jo bhi batae gae
KHak par basne wale bashar ko masarrat ke jitne bhi naghme sunae gae
Sab rishi sab muni ambiya auliya
KHair ke dewta husn neki KHuda
Aaj sab par mujhe
E'tibar aa gaya e'tibar aa gaya