megh duut

Fahmida Riaz

SansanaahaTon ke saath GaDgaDaahaTon ke saath Aa gaya! Pavan-rath pe baith kar Meraa megh devtaa Dosh par havaaon ke Baal uDaataa huaa Us kaa jaamunee badan Aasmaan pe chhaa gaya Duur tak garaj huee Zameen dahalne lagee Aasmaan simaT gaya BaDee ghan-garaj ke saath TuuT kar baras paDaa Aur main aankh muund kar Haath pasaare hue DauDtee chalee ga.ee Ang se lagaa rahi Niil us ke ang kaa Main ki bint-e-jijr hoon Mujh men aisi pyaas hai Main ki mere vaaste Vasl bhee firaaq hai Mujh men aisi aag hai Megh-ras men bhiig kar Haanptee khaDee khaDee Kah raha hai dil meraa Yahee hai Madhur milan kee ghaDee SansanahaTon ke sath GaDgaDahaTon ke sath Aa gaya! Pawan-rath pe baith kar Mera megh dewta Dosh par hawaon ke Baal uData hua Us ka jamuni badan Aasman pe chha gaya Dur tak garaj hui Zamin dahalne lagi Aasman simaT gaya BaDi ghan-garaj ke sath TuT kar baras paDa Aur main aankh mund kar Hath pasare hue DauDti chali gai Ang se laga rahi Nil us ke ang ka Main ki bint-e-jijr hun Mujh mein aisi pyas hai Main ki mere waste Wasl bhi firaq hai Mujh mein aisi aag hai Megh-ras mein bhig kar Hanpti khaDi khaDi Kah raha hai dil mera Yahi hai Madhur milan ki ghaDi