muddat se ye aalam hai dil kaa hanstaa bhi nahin rotaa bhi nahin
— Fahmida Riaz
Muddat se ye aalam hai dil kaa hanstaa bhee nahin rotaa bhee nahin
Maazee bhee kabhi dil men na chubhaa aa.inda kaa sochaa bhee nahin
Vo mere honT pe likkhaa hai jo harf mukammal ho na sakaa
Vo meree aankh men bastaa hai jo khvaab kabhi dekhaa bhee nahin
Chalte chalte kuch tham jaanaa phir bojhal qadmon se chalnaa
Ye kaisee kasak see baaqee hai jab paanv men wo kaanTaa bhee nahin
Dhundlaa.ee huee shaamon men koi parchhaa.een see phirtee rahtee hai
Main aahaT suntee hoon jis kee wo vahm nahin saaya bhee nahin
Taz.een-e-lab-o-gesoo kaisee pindaar kaa sheesha Toot gaya
Thee jis ke liye sab aaraa.ish us ne to hamen dekhaa bhee nahin
Muddat se ye aalam hai dil ka hansta bhi nahin rota bhi nahin
Mazi bhi kabhi dil mein na chubha aainda ka socha bhi nahin
Wo mere honT pe likkha hai jo harf mukammal ho na saka
Wo meri aankh mein basta hai jo KHwab kabhi dekha bhi nahin
Chalte chalte kuch tham jaana phir bojhal qadmon se chalna
Ye kaisi kasak si baqi hai jab panw mein wo kanTa bhi nahin
Dhundlai hui shamon mein koi parchhain si phirti rahti hai
Main aahaT sunti hun jis ki wo wahm nahin saya bhi nahin
Tazin-e-lab-o-gesu kaisi pindar ka shisha TuT gaya
Thi jis ke liye sab aaraish us ne to hamein dekha bhi nahin