pachhtaavaa
— Fahmida Riaz
Khuda-e-har-do-jahaan ne jab aadmee ko pahle-pahal sazaa dee
Bahisht se jab use nikaalaa
To us ko bakhshaa gaya ye saathee
Ye aisa saathee hai jo hamesha hee aadmee ke qareen raha hai
Tamaam advaar chhaan Daalo
Rivaayaton men hikaayaton men
Azal se taareekh kah rahi hai
Ki aadmee kee jabeen hamesha nadaamaton se araq rahi hai
Vo vaqt jab se ki aadmee ne
Khudaa kee jannat men shajr-e-mamnooa chakh liyaa
Aur
Sarkashee kee
Tabhee se is phal kaa ye kaseelaa zaa.iqa
Aadmee ke kaam-o-dahan men hir-phir ke aa raha hai
Magar nadaamat ke talkh se zaa.iqe se pahle gunaah kee be-panaah lazzat
KHuda-e-har-do-jahan ne jab aadmi ko pahle-pahal saza di
Bahisht se jab use nikala
To us ko baKHsha gaya ye sathi
Ye aisa sathi hai jo hamesha hi aadmi ke qarin raha hai
Tamam adwar chhan Dalo
Riwayaton mein hikayaton mein
Azal se tariKH kah rahi hai
Ki aadmi ki jabin hamesha nadamaton se araq rahi hai
Wo waqt jab se ki aadmi ne
KHuda ki jannat mein shajr-e-mamnua chakh liya
Aur
Sarkashi ki
Tabhi se is phal ka ye kasila zaiqa
Aadmi ke kaam-o-dahan mein hir-phir ke aa raha hai
Magar nadamat ke talKH se zaiqe se pahle gunah ki be-panah lazzat