tum bilkul ham jaise nikle tum bilkul ham jaise nikle
— Fahmida Riaz
Tum bilkul ham jaise nikle
Ab tak kahaan chhupe the bhaa.ee
Vo moorakhtaa wo ghaamaD-pan
Jis men ham ne sadee ganvaa.ee
Aakhir pahunchee dvaar tuhaare
Are badhaa.ee bahut badhaa.ee
Pret dharm kaa naach raha hai
Qaa.em hindoo raaj karoge
Saare ulTe kaaj karoge
Apnaa chaman taaraaj karoge
Tum bhee baiThe karoge sochaa
Puuree hai vaisee tayyaaree
Kaun hai hindoo kaun nahin hai
Tum bhee karoge fatvaa jaaree
Hogaa kaThin yahaan bhee jiinaa
Daanton aa jaa.egaa paseenaa
Jaisee-taisee kaTaa karegee
Yahaan bhee sab kee saans ghuTegee
BhaaD men jaa.e shikshaa-vikshaa
Ab jaahil-pan ke gun gaanaa
Aage gaDhaa hai ye mat dekho
Vaapas laao gaya zamaana
Mashq karo tum aa jaa.egaa
UlTe paanv chalte jaanaa
Dhyaan na duujaa man men aa.e
Bas peechhe hee nazar jamaanaa
Ek jaap saa karte jaao
Baaram-baar yahee doharaao
Kaisaa viir mahaan thaa bhaarat
Kitnaa 'aalee-shaan thaa bhaarat
Phir tum log pahunch jaaoge
Bas parlok pahunch jaaoge
Ham to hain pahle se vahaan par
Tum bhee samay nikaalte rahnaa
Ab jis nark men jaao vahaan se
ChiTThee-viTThee Daalte rahnaa
Tum bilkul hum jaise nikle
Ab tak kahan chhupe the bhai
Wo murakhta wo ghamaD-pan
Jis mein hum ne sadi ganwai
AaKHir pahunchi dwar tuhaare
Are badhai bahut badhai
Pret dharm ka nach raha hai
Qaem hindu raj karoge
Sare ulTe kaj karoge
Apna chaman taraj karoge
Tum bhi baiThe karoge socha
Puri hai waisi tayyari
Kaun hai hindu kaun nahin hai
Tum bhi karoge fatwa jari
Hoga kaThin yahan bhi jina
Danton aa jaega pasina
Jaisi-taisi kaTa karegi
Yahan bhi sab ki sans ghuTegi
BhaD mein jae shiksha-wiksha
Ab jahil-pan ke gun gana
Aage gaDha hai ye mat dekho
Wapas lao gaya zamana
Mashq karo tum aa jaega
UlTe panw chalte jaana
Dhyan na duja man mein aae
Bas pichhe hi nazar jamana
Ek jap sa karte jao
Baram-bar yahi doharao
Kaisa wir mahan tha bhaarat
Kitna 'ali-shan tha bhaarat
Phir tum log pahunch jaoge
Bas parlok pahunch jaoge
Hum to hain pahle se wahan par
Tum bhi samay nikalte rahna
Ab jis nark mein jao wahan se
ChiTThi-wiTThi Dalte rahna