ye kis ke aansuon ne us naqsh ko mitaayaa
— Fahmida Riaz
Ye kis ke aansuon ne us naqsh ko miTaayaa
Jo mere lauh-e-dil par too ne kabhi banaayaa
Thaa dil jab us pe maa.il tha shauq sakht mushkil
Targheeb ne use bhee aasaan kar dikhaayaa
Ik gard-baad men too ojhal huaa nazar se
Is dasht-e-be-samar se juz khaak kuch na paayaa
Ai chob-e-khushk-e-sahraa wo baad-e-shauq kya thee
Meree tarah barahna jis ne tujhe banaayaa
Phir ham hain neem-shab hai andesha-e-abas hai
Vo vaahima ki jis se teraa yaqeen aayaa
Ye kis ke aansuon ne us naqsh ko miTaya
Jo mere lauh-e-dil par tu ne kabhi banaya
Tha dil jab us pe mail tha shauq saKHt mushkil
Targhib ne use bhi aasan kar dikhaya
Ek gard-baad mein tu ojhal hua nazar se
Is dasht-e-be-samar se juz KHak kuch na paya
Ai chob-e-KHushk-e-sahra wo baad-e-shauq kya thi
Meri tarah barahna jis ne tujhe banaya
Phir hum hain nim-shab hai andesha-e-abas hai
Wo wahima ki jis se tera yaqin aaya