aaj baazaar men paa ba jaulaan chalo chashm e nam jaan e shoriida kaafii nahiin

Faiz Ahmad Faiz

Chashm-e-nam jaan-e-shoreeda kaafee nahin Tohmat-e-ishq-e-posheeda kaafee nahin Aaj baazaar men paa-ba-jaulaan chalo Dast-afshaan chalo mast o raqsaan chalo Khaak-bar-sar chalo khoon-ba-daamaan chalo Raah taktaa hai sab shahr-e-jaanaan chalo Haakim-e-shahr bhee majma-e-aam bhee Teer-e-ilzaam bhee sang-e-dushnaam bhee Sub.h-e-naashaad bhee roz-e-naakaam bhee Un kaa dam-saaz apne sivaa kaun hai Shahr-e-jaanaan men ab baa-safaa kaun hai Dast-e-qaatil ke shaayaan raha kaun hai Rakht-e-dil baandh lo dil-figaaro chalo Phir hameen qatl ho aa.en yaaro chalo Chashm-e-nam jaan-e-shorida kafi nahin Tohmat-e-ishq-e-poshida kafi nahin Aaj bazar mein pa-ba-jaulan chalo Dast-afshan chalo mast o raqsan chalo KHak-bar-sar chalo KHun-ba-daman chalo Rah takta hai sab shahr-e-jaanan chalo Hakim-e-shahr bhi majma-e-am bhi Tir-e-ilzam bhi sang-e-dushnam bhi Subh-e-nashad bhi roz-e-nakaam bhi Un ka dam-saz apne siwa kaun hai Shahr-e-jaanan mein ab ba-safa kaun hai Dast-e-qatil ke shayan raha kaun hai RaKHt-e-dil bandh lo dil-figaro chalo Phir hamin qatl ho aaen yaro chalo