ab jo koi puuchhe bhi to us se kya sharh e haalaat karen

Faiz Ahmad Faiz

Ab jo koee poochhe bhee to us se kya sharh-e-haalaat karen Dil Thahre to dard sunaa.en dard thame to baat karen Shaam huee phir josh-e-qadah ne bazm-e-hareefaan raushan kee Ghar ko aag lagaa.en ham bhee raushan apnee raat karen Qatl-e-dil-o-jaan apne sar hai apna lahoo apnee gardan pe Mohr-ba-lab baiThe hain kis kaa shikva kis ke saath karen Hijr men shab bhar dard-o-talab ke chaand sitaare saath rahe Sub.h kee veeraanee men yaaro kaise basar auqaat karen