darbaar men ab satvat e shaahii ki alaamat

Faiz Ahmad Faiz

Darbaar men ab satvat-e-shaahee kee alaamat Darbaan kaa asaa hai ki musannif kaa qalam hai Aavaara hai phir koh-e-nidaa par jo bashaarat Tamheed-e-masarrat hai ki tool-e-shab-e-gham hai Jis dhajjee ko galiyon men liye phirte hain tiflaan Ye meraa garebaan hai ki lashkar kaa alam hai Jis nuur se hai shahr kee deevaar darakhshaan Ye khoon-e-shaheedaan hai ki zar-khaana-e-jam hai Halqa kiye baiThe raho ik sham.a ko yaaro Kuch raushnee baaqee to hai har-chand ki kam hai