heart attack dard itnaa tha ki us raat dil e vahshii ne
— Faiz Ahmad Faiz
Dard itnaa tha ki us raat dil-e-vahshee ne
Har rag-e-jaan se ulajhnaa chaahaa
Har bun-e-moo se Tapaknaa chaahaa
Aur kaheen duur tire sahn men goyaa
Pattaa pattaa mire afsurda lahoo men dhul kar
Husn-e-mahtaab se aazurda nazar aane lagaa
Mere veeraana-e-tan men goyaa
Saare dukhte hue reshon kee tanaaben khul kar
Silsila-vaar pataa dene lageen
Rukhsat-e-qaafila-e-shauq kee tayyaaree kaa
Aur jab yaad kee bujhtee huee sham.on men nazar aayaa kaheen
Ek pal aakhiree lamha tiree dildaaree kaa
Dard itnaa tha ki us se bhee guzarnaa chaahaa
Ham ne chaahaa bhee magar dil na Thaharnaa chaahaa
Dard itna tha ki us raat dil-e-wahshi ne
Har rag-e-jaan se ulajhna chaha
Har bun-e-mu se Tapakna chaha
Aur kahin dur tere sahn mein goya
Patta patta mere afsurda lahu mein dhul kar
Husn-e-mahtab se aazurda nazar aane laga
Mere virana-e-tan mein goya
Sare dukhte hue reshon ki tanaben khul kar
Silsila-war pata dene lagin
RuKHsat-e-qafila-e-shauq ki tayyari ka
Aur jab yaad ki bujhti hui shamon mein nazar aaya kahin
Ek pal aaKHiri lamha teri dildari ka
Dard itna tha ki us se bhi guzarna chaha
Hum ne chaha bhi magar dil na Thaharna chaha