ishq minnat e kash e qaraar nahin

Faiz Ahmad Faiz

Ishq minnat-e-kash-e-qaraar nahin Husn majboor-e-intizaar nahin Teree ranjish kee intihaa ma.aloom Hasraton kaa miree shumaar nahin Apnee nazren bikher de saaqee Mai ba-andaaza-e-khumaar nahin Zer-e-lab hai abhee tabassum-e-dost Muntashir jalva-e-bahaar nahin Apnee takmeel kar raha hoon main Varna tujh se to mujh ko pyaar nahin Chaara-e-intizaar kaun kare Teree nafrat bhee ustuvaar nahin 'faiz' zinda rahen wo hain to sahee Kya huaa gar wafa-shi.aar nahin