jo meraa tumhaaraa rishta hai

Faiz Ahmad Faiz

Main kya likhoon ki jo meraa tumhaaraa rishta hai Vo aashiqee kee zabaan men kaheen bhee darj nahin Likhaa gaya hai bahut lutf-e-vasl o dard-e-firaaq Magar ye kaifiyat apnee raqam nahin hai kaheen Ye apna ishq-e-ham-aaghosh jis men hijr o visaal Ye apna dard ki hai kab se hamdam-e-mah-o-saal Is ishq-e-khaas ko har ek se chhupaa.e hue ''guzar gaya hai zamaana gale lagaa.e hue'' Main kya likhun ki jo mera tumhaara rishta hai Wo aashiqi ki zaban mein kahin bhi darj nahin Likha gaya hai bahut lutf-e-wasl o dard-e-firaq Magar ye kaifiyat apni raqam nahin hai kahin Ye apna ishq-e-ham-aghosh jis mein hijr o visal Ye apna dard ki hai kab se hamdam-e-mah-o-sal Is ishq-e-KHas ko har ek se chhupae hue Guzar gaya hai zamana gale lagae hue