kab tak dil ki khair manaaen kab tak rah dikhlaaoge
— Faiz Ahmad Faiz
Kab tak dil kee khair manaa.en kab tak rah dikhlaaoge
Kab tak chain kee mohlat doge kab tak yaad na aaoge
Biitaa diid ummeed kaa mausam khaak uDtee hai aankhon men
Kab bhejoge dard kaa baadal kab barkhaa barsaaoge
Ahd-e-wafa yaa tark-e-mohabbat jo chaaho so aap karo
Apne bas kee baat hee kya hai ham se kya manvaaoge
Kis ne vasl kaa sooraj dekhaa kis par hijr kee raat Dhalee
Gesuon vaale kaun the kya the un ko kya jatlaaoge
'faiz' dilon ke bhaag men hai ghar bharnaa bhee luT jaanaa bhee
Tum is husn ke lutf-o-karam par kitne din itraaoge