kabhi kabhi yaad men ubharte hain naqsh e maazii mite mite se

Faiz Ahmad Faiz

Kabhee kabhee yaad men ubharte hain naqsh-e-maazee miTe miTe se Wo aazmaa.ish dil o nazar kee wo qurbaten see wo faasle se Kabhee kabhee aarzoo ke sahraa men aa ke rukte hain qaafile se Wo saaree baaten lagaav kee see wo saare unvaan visaal ke se Nigaah o dil ko qaraar kaisaa nashaat o gham men kamee kahaan kee Wo jab mile hain to un se har baar kee hai ulfat na.e sire se Bahut giraan hai ye aish-e-tanhaa kaheen subuk-tar kaheen gavaaraa Wo dard-e-pinhaan ki saaree Dunya rafeeq thee jis ke vaaste se Tumheen kaho rind o mohtasib men hai aaj shab kaun farq aisa Ye aa ke baiThe hain mai-kade men wo uTh ke aa.e hain mai-kade se