kaii baar is kaa daaman bhar diyaa husn e do aalam se
— Faiz Ahmad Faiz
Ka.ee baar is kaa daaman bhar diyaa husn-e-do-aalam se
Magar dil hai ki is kee khaana-veeraanee naheen jaatee
Ka.ee baar is kee khaatir zarre zarre kaa jigar cheraa
Magar ye chashm-e-hairaan jis kee hairaanee naheen jaatee
Naheen jaatee mataa-e-laal-o-gauhar kee giraan-yaabee
Mataa-e-ghairat-o-eemaan kee arzaanee naheen jaatee
Miree chashm-e-tan-aasaan ko baseerat mil ga.ee jab se
Bahut jaanee huee soorat bhee pahchaanee naheen jaatee
Sar-e-khusrau se naaz-e-kaj-kulaahee chhin bhee jaataa hai
Kulaah-e-khusravee se boo-e-sultaanee naheen jaatee
Ba-juz deevaangee vaan aur chaara hee kaho kya hai
Jahaan aql o khirad kee ek bhee maanee naheen jaatee