rang pairaahan kaa khushbuu zulf lahraane kaa naam
— Faiz Ahmad Faiz
Rang pairaahan kaa khushboo zulf lahraane kaa naam
Mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane kaa naam
Dosto us chashm o lab kee Kuch kaho jis ke baghair
Gulsitaan kee baat rangeen hai na mai-khaane kaa naam
Phir nazar men phuul mahke dil men phir sham.en jaleen
Phir tasavvur ne liyaa us bazm men jaane kaa naam
Dilbaree Thahraa zabaan-e-khalq khulvaane kaa naam
Ab nahin lete paree-roo zulf bikhraane kaa naam
Ab kisee lailaa ko bhee iqraar-e-mahboobee nahin
In dinon badnaam hai har ek deevaane kaa naam
Mohtasib kee khair oonchaa hai usee ke faiz se
Rind kaa saaqee kaa mai kaa khum kaa paimaane kaa naam
Ham se kahte hain chaman vaale ghareebaan-e-chaman
Tum koi achchhaa saa rakh lo apne veeraane kaa naam
'faiz' un ko hai taqaazaa-e-wafa ham se jinhen
Aashnaa ke naam se pyaaraa hai begaane kaa naam