shaam e firaaq ab na puuchh aaii aur aa ke tal gaii

Faiz Ahmad Faiz

Shaam-e-firaaq ab na poochh aa.ee aur aa ke Tal ga.ee Dil thaa ki phir bahal gaya jaan thee ki phir sambhal ga.ee Bazm-e-khayaal men tire husn kee sham.a jal ga.ee Dard kaa chaand bujh gaya hijr kee raat Dhal ga.ee Jab tujhe yaad kar liyaa sub.h mahak mahak uThee Jab tiraa gham jagaa liyaa raat machal machal ga.ee Dil se to har mo.aamla kar ke chale the saaf ham Kahne men un ke saamne baat badal badal ga.ee Aakhir-e-shab ke ham-safar 'faiz' na jaane kya hue Rah ga.ee kis jagah sabaa sub.h kidhar nikal ga.ee