shafaq ki raakh men jal bujh gaya sitaara e shaam
— Faiz Ahmad Faiz
Shafaq kee raakh men jal bujh gaya sitaara-e-shaam
Shab-e-firaaq ke gesoo fazaa men lahraa.e
Koi pukaaro ki ik umr hone aa.ee hai
Falak ko qaafila-e-roz-o-shaam Thahraa.e
Ye zid hai yaad hareefaan-e-baada-paimaa kee
Ki shab ko chaand na nikle na din ko abr aa.e
Sabaa ne phir dar-e-zindaan pe aa ke dee dastak
Sahar qareeb hai dil se kaho na ghabraa.e