subh e aazaadii august 47 ye daag daag ujaalaa ye shab gaziida sahar
— Faiz Ahmad Faiz
Ye daagh daagh ujaalaa ye shab-gazeeda sahar
Vo intizaar tha jis kaa ye wo sahar to nahin
Ye wo sahar to nahin jis kee aarzoo le kar
Chale the yaar ki mil jaa.egee kaheen na kaheen
Falak ke dasht men taaron kee aakhiree manzil
Kaheen to hogaa shab-e-sust-mauj kaa saahil
Kaheen to jaa ke rukegaa safeena-e-gham dil
Javaan lahoo kee pur-asraar shaah-raahon se
Chale jo yaar to daaman pe kitne haath paDe
Dayaar-e-husn kee be-sabr khvaab-gaahon se
Pukaartee raheen baahen badan bulaate rahe
Bahut aziiz thee lekin rukh-e-sahar kee lagan
Bahut qareen tha haseenan-e-noor kaa daaman
Subuk subuk thee tamannaa dabee dabee thee thakan
Sunaa hai ho bhee chukaa hai firaaq-e-zulmat-o-noor
Sunaa hai ho bhee chukaa hai visaal-e-manzil-o-gaam
Badal chukaa hai bahut ahl-e-dard kaa dastoor
Nashaat-e-vasl halaal o azaab-e-hijr haraam
Jigar kee aag nazar kee umang dil kee jalan
Kisee pe chaara-e-hijraan kaa kuch asar hee nahin
Kahaan se aa.ee nigaar-e-sabaa kidhar ko ga.ee
Abhee charaagh-e-sar-e-rah ko kuch khabar hee nahin
Abhee giraanee-e-shab men kamee nahin aa.ee
Najaat-e-deeda-o-dil kee ghaDee nahin aa.ee
Chale-chalo ki wo manzil abhee nahin aa.ee
Ye dagh dagh ujala ye shab-gazida sahar
Wo intizar tha jis ka ye wo sahar to nahin
Ye wo sahar to nahin jis ki aarzu le kar
Chale the yar ki mil jaegi kahin na kahin
Falak ke dasht mein taron ki aaKHiri manzil
Kahin to hoga shab-e-sust-mauj ka sahil
Kahin to ja ke rukega safina-e-gham dil
Jawan lahu ki pur-asrar shah-rahon se
Chale jo yar to daman pe kitne hath paDe
Dayar-e-husn ki be-sabr KHwab-gahon se
Pukarti rahin bahen badan bulate rahe
Bahut aziz thi lekin ruKH-e-sahar ki lagan
Bahut qarin tha hasinan-e-nur ka daman
Subuk subuk thi tamanna dabi dabi thi thakan
Suna hai ho bhi chuka hai firaq-e-zulmat-o-nur
Suna hai ho bhi chuka hai visal-e-manzil-o-gam
Badal chuka hai bahut ahl-e-dard ka dastur
Nashat-e-wasl halal o azab-e-hijr haram
Jigar ki aag nazar ki umang dil ki jalan
Kisi pe chaara-e-hijran ka kuch asar hi nahin
Kahan se aai nigar-e-saba kidhar ko gai
Abhi charagh-e-sar-e-rah ko kuch KHabar hi nahin
Abhi girani-e-shab mein kami nahin aai
Najat-e-dida-o-dil ki ghaDi nahin aai
Chale-chalo ki wo manzil abhi nahin aai