tanhaaii phir koi aayaa dil e zaar nahin koi nahin

Faiz Ahmad Faiz

Phir koi aayaa dil-e-zaar nahin koi nahin Raah-rau hogaa kaheen aur chalaa jaa.egaa Dhal chukee raat bikharne lagaa taaron kaa ghubaar LaDkhaDaane lage aivaanon men khvaabeeda charaagh So ga.ee raasta tak tak ke har ik raahguzaar Ajnabee khaak ne dhundlaa diye qadmon ke suraagh Gul karo sham.en baDhaa do mai o miinaa o ayaagh Apne be-khvaab kivaaDon ko muqaffal kar lo Ab yahaan koi nahin koi nahin aa.egaa Phir koi aaya dil-e-zar nahin koi nahin Rah-rau hoga kahin aur chala jaega Dhal chuki raat bikharne laga taron ka ghubar LaDkhaDane lage aiwanon mein KHwabida charagh So gai rasta tak tak ke har ek rahguzar Ajnabi KHak ne dhundla diye qadmon ke suragh Gul karo shamen baDha do mai o mina o ayagh Apne be-KHwab kiwaDon ko muqaffal kar lo Ab yahan koi nahin koi nahin aaega