tum aae ho na shab e intizaar guzri hai
— Faiz Ahmad Faiz
Tum aa.e ho na shab-e-intizaar guzree hai
Talaash men hai sahar baar baar guzree hai
Junoon men jitnee bhee guzree ba-kaar guzree hai
Agarche dil pe kharaabee hazaar guzree hai
Huee hai hazrat-e-naaseh se guftugoo jis shab
Wo shab zaroor sar-e-koo-e-yaar guzree hai
Wo baat saare fasaane men jis kaa zikr na thaa
Wo baat un ko bahut naa-gavaar guzree hai
Na gul khile hain na un se mile na mai pee hai
Ajiib rang men ab ke bahaar guzree hai
Chaman pe ghaarat-e-gul-cheen se jaane kya guzree
Qafas se aaj sabaa be-qaraar guzree hai