tum hi kaho kya karnaa hai jab dukh ki nadiyaa men ham ne
— Faiz Ahmad Faiz
Jab dukh kee nadiyaa men ham ne
Jeevan kee naav Daalee thee
Thaa kitnaa kas-bal baanhon men
Lohoo men kitnee laalee thee
Yuun lagtaa tha do haath lage
Aur naav pooram paar lagee
Aisaa na huaa, har dhaare men
Kuchh an-dekhee manjdhaaren thiin
Kuchh maanjhee the anjaan bahut
Kuchh be-parkhee parvaaren thiin
Ab jo bhee chaaho chhaan karo
Ab jitne chaaho dosh dharo
Nadiyaa to vahee hai, naav vahee
Ab tum hee kaho kya karnaa hai
Ab kaise paar utarnaa hai
Jab apnee chhaatee men ham ne
Is des ke ghaav dekhe the
Thaa vedon par vishvaash bahut
Aur yaad bahut se nuskhe the
Yuun lagtaa tha bas kuch din men
Saaree biptaa kaT jaa.egee
Aur sab ghaav bhar jaa.enge
Aisaa na huaa ki rog apne
Kuchh itne Dher puraane the
Ved in kee Toh ko paa na sake
Aur ToTke sab be-kaar ga.e
Ab jo bhee chaaho chhaan karo
Ab jitne chaaho dosh dharo
Chhaatee to vahee hai, ghaav vahee
Ab tum hee kaho kya karnaa hai
Ye ghaav kaise bharnaa hai
Jab dukh ki nadiya mein hum ne
Jiwan ki naw Dali thi
Tha kitna kas-bal banhon mein
Lohu mein kitni lali thi
Yun lagta tha do hath lage
Aur naw puram par lagi
Aisa na hua, har dhaare mein
Kuchh an-dekhi manjdhaaren thin
Kuchh manjhi the anjaan bahut
Kuchh be-parkhi parwaren thin
Ab jo bhi chaho chhan karo
Ab jitne chaho dosh dharo
Nadiya to wahi hai, naw wahi
Ab tum hi kaho kya karna hai
Ab kaise par utarna hai
Jab apni chhati mein hum ne
Is des ke ghaw dekhe the
Tha wedon par wishwash bahut
Aur yaad bahut se nusKHe the
Yun lagta tha bas kuch din mein
Sari bipta kaT jaegi
Aur sab ghaw bhar jaenge
Aisa na hua ki rog apne
Kuchh itne Dher purane the
Wed in ki Toh ko pa na sake
Aur ToTke sab be-kar gae
Ab jo bhi chaho chhan karo
Ab jitne chaho dosh dharo
Chhati to wahi hai, ghaw wahi
Ab tum hi kaho kya karna hai
Ye ghaw kaise bharna hai