tumhaare husn ke naam

Faiz Ahmad Faiz

Salaam likhtaa hai shaa.er tumhaare husn ke naam Bikhar gaya jo kabhi rang-e-pairahan sar-e-baam Nikhar ga.ee hai kabhi subah dopahar kabhi shaam Kaheen jo qaamat-e-zebaa pe saj ga.ee hai qabaa Chaman men sarv-o-sanobar sanvar ga.e hain tamaam Banee bisaat-e-ghazal jab Dubo liye dil ne Tumhaare saaya-e-rukhsaar-o-lab men saaghar-o-jaam Salaam likhtaa hai shaa.er tumhaare husn ke naam Tumhaare haath pe hai taabish-e-hinaa jab tak Jahaan men baaqee hai dildaari-e-uroos-e-sukhan Tumhaaraa husn javaan hai to mehrbaan hai falak Tumhaaraa dam hai to dam-saaz hai havaa-e-vatan Agarche tang hain auqaat sakht hain aalaam Tumhaaree yaad se sheereen hai talkhi-e-aiyyaam Salaam likhtaa hai shaa.er tumhaare husn ke naam Salam likhta hai shaer tumhaare husn ke nam Bikhar gaya jo kabhi rang-e-pairahan sar-e-baam Nikhar gai hai kabhi subah dopahar kabhi sham Kahin jo qamat-e-zeba pe saj gai hai qaba Chaman mein sarw-o-sanobar sanwar gae hain tamam Bani bisat-e-ghazal jab Dubo liye dil ne Tumhaare saya-e-ruKHsar-o-lab mein saghar-o-jam Salam likhta hai shaer tumhaare husn ke nam Tumhaare hath pe hai tabish-e-hina jab tak Jahan mein baqi hai dildari-e-urus-e-suKHan Tumhaara husn jawan hai to mehrban hai falak Tumhaara dam hai to dam-saz hai hawa-e-watan Agarche tang hain auqat saKHt hain aalam Tumhaari yaad se shirin hai talKHi-e-aiyyam Salam likhta hai shaer tumhaare husn ke nam