wo buton ne daale hain vasvase ki dilon se khauf e khuda gaya
— Faiz Ahmad Faiz
Wo buton ne Daale hain vasvase ki dilon se khauf-e-khuda gaya
Wo paDee hain roz qayaamaten ki khayaal-e-roz-e-jazaa gaya
Jo nafas thaa khaar-e-guloo banaa jo uThe the haath lahoo hue
Wo nashaat-e-aah-e-sahr ga.ee wo vaqaar-e-dast-e-duaa gaya
Na wo rang fasl-e-bahaar kaa na ravish wo abr-e-bahaar kee
Jis adaa se yaar the aashnaa wo mizaaj-e-baad-e-sabaa gaya
Jo talab pe ahd-e-wafa kiyaa to wo aabroo-e-wafa ga.ee
Sar-e-aam jab hue mudda.ee to savaab-e-sidq-o-safaa gaya
Abhee baadbaan ko tah rakho abhee muztarib hai rukh-e-havaa
Kisee raaste men hai muntazir wo sukoon jo aa ke chalaa gaya